qadam qadam par hamein mila dukh
qadam qadam par hameñ milā dukh
lagā hai ham ko ye kaunsā dukh
kahāñ talak ham nibāheñ rishta
zamāne-bhar ne hameñ diyā dukh
hamārā chehra bhī ho gayā zard
kabhī kabhī to bahut milā dukh
bahut ḳhushī bhī nahīñ hai achchhī
kabhī zarā tum bhī dekhnā dukh
mafar nahīñ hai kisī ko 'saifī'
sabhī kā dushman banā rahā dukh
qadam qadam par hamein mila dukh
laga hai hum ko ye kaunsa dukh
kahan talak hum nibahen rishta
zamane-bhar ne hamein diya dukh
hamara chehra bhi ho gaya zard
kabhi kabhi to bahut mila dukh
bahut KHushi bhi nahin hai achchhi
kabhi zara tum bhi dekhna dukh
mafar nahin hai kisi ko 'saifi'
sabhi ka dushman bana raha dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.