qadam qadam pe ajab KHauf sa guzarta hai
qadam qadam pe ajab ḳhauf sā guzartā hai
vo apne gaañv meñ jaate hue bhī Dartā hai
havā.eñ chalne lagī haiñ chahār-jānib se
sambhālnā ki har ik silsila bikhartā hai
kabhī jhiñjhoḌ ke rakh detā hai tamām badan
kabhī vo dil meñ dabe paañv bhī utartā hai
bajā.e us ke ki mujh ko bhī jagmagā detā
vo chāñd ho ke mirī tīrgī se Dartā hai
utar rahā huuñ maiñ tanhā.iyoñ ke dariyā meñ
ye dekhnā hai pas-e-āb kyā ubhartā hai
ye dhuup jism jalā degī Thiik hai lekin
yahāñ pe kaun bhalā apnī maut martā hai
qadam qadam pe ajab KHauf sa guzarta hai
wo apne ganw mein jate hue bhi Darta hai
hawaen chalne lagi hain chahaar-jaanib se
sambhaalna ki har ek silsila bikharta hai
kabhi jhinjhoD ke rakh deta hai tamam badan
kabhi wo dil mein dabe panw bhi utarta hai
bajae us ke ki mujh ko bhi jagmaga deta
wo chand ho ke meri tirgi se Darta hai
utar raha hun main tanhaiyon ke dariya mein
ye dekhna hai pas-e-ab kya ubharta hai
ye dhup jism jala degi Thik hai lekin
yahan pe kaun bhala apni maut marta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.