qadam qadam pe naya imtihan chhoDa hai
qadam qadam pe nayā imtihān chhoḌā hai
kisī ne ain bhañvar-darmiyān chhoḌā hai
jabhī to sab ko maiñ shak kī nazar se dekhtā huuñ
mujhe kisī ne baḌā bad-gumān chhoḌā hai
maiñ zelī rasta nahīñ thā magar mujhe us ne
na-jāne soch ke kyā be-nishān chhoḌā hai
zamīñ pe bhejne vaale mujhe batā to sahī
ye mere hisse meñ kyā āsmān chhoḌā hai
qadam qadam pe naya imtihan chhoDa hai
kisi ne ain bhanwar-darmiyan chhoDa hai
jabhi to sab ko main shak ki nazar se dekhta hun
mujhe kisi ne baDa bad-guman chhoDa hai
main zeli rasta nahin tha magar mujhe us ne
na-jaane soch ke kya be-nishan chhoDa hai
zamin pe bhejne wale mujhe bata to sahi
ye mere hisse mein kya aasman chhoDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.