qadam qadam pe tamanna-e-iltifat to dekh
qadam qadam pe tamannā-e-iltifāt to dekh
zavāl-e-ishq meñ saudāgaroñ kā haat to dekh
bas ek ham the jo thoḌā sā sar uThā ke chale
isī ravish pe raqīboñ ke vāqi.āt to dekh
ġham-e-hayāt meñ hāzir huuñ lekin ek zarā
nigār-e-shahr se mere ta.alluqāt to dekh
ḳhud apnī aañch meñ jaltā hai chāñdnī kā badan
kisī ke narm ḳhunuk gesuoñ kī raat to dekh
atā kyā dil-e-muztar to sī diye mere hoñT
ḳhudā-e-kaun-o-makāñ ke tavahhumāt to dekh
gunāh meñ bhī baḌe ma.arifat ke mauqe haiñ
kabhī kabhī use be-ḳhadsha-e-najāt to dekh
qadam qadam pe tamanna-e-iltifat to dekh
zawal-e-ishq mein saudagaron ka hat to dekh
bas ek hum the jo thoDa sa sar uTha ke chale
isi rawish pe raqibon ke waqiat to dekh
gham-e-hayat mein hazir hun lekin ek zara
nigar-e-shahr se mere talluqat to dekh
KHud apni aanch mein jalta hai chandni ka badan
kisi ke narm KHunuk gesuon ki raat to dekh
ata kya dil-e-muztar to si diye mere honT
KHuda-e-kaun-o-makan ke tawahhumat to dekh
gunah mein bhi baDe marifat ke mauqe hain
kabhi kabhi use be-KHadsha-e-najat to dekh
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Mouj meri sadaf sadaf) (Pg. 88)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.