qadam rakhta hai jab raston pe yar aahista aahista
qadam rakhtā hai jab rastoñ pe yaar āhista āhista
to chhaT jaatā hai sab gard-o-ġhubār āhista āhista
bharī āñkhoñ se ho ke dil meñ jaanā sahl thoḌī hai
chaḌhe dariyāoñ ko karte haiñ paar āhista āhista
nazar aatā hai to yuuñ dekhtā jaatā huuñ maiñ us ko
ki chal paḌtā hai jaise kārobār āhista āhista
udhar kuchh aurteñ darvāzoñ par dauḌī huī aa.iiñ
idhar ghoḌoñ se utre shahsavār āhista āhista
kisī din kārḳhāna-e-ġhazal meñ kaam niklegā
palaT ā.eñge sab be-rozgār āhista āhista
tirā paikar ḳhudā ne bhī to fursat meñ banāyā thā
banā.egā tire zevar sunār āhista āhista
mirī gosha-nashīnī ek din bāzār dekhegī
zarūrat kar rahī hai be-qarār āhista āhista
qadam rakhta hai jab raston pe yar aahista aahista
to chhaT jata hai sab gard-o-ghubar aahista aahista
bhari aankhon se ho ke dil mein jaana sahl thoDi hai
chaDhe dariyaon ko karte hain par aahista aahista
nazar aata hai to yun dekhta jata hun main us ko
ki chal paDta hai jaise karobar aahista aahista
udhar kuchh aurten darwazon par dauDi hui aain
idhar ghoDon se utre shahsawar aahista aahista
kisi din karKHana-e-ghazal mein kaam niklega
palaT aaenge sab be-rozgar aahista aahista
tera paikar KHuda ne bhi to fursat mein banaya tha
banaega tere zewar sunar aahista aahista
meri gosha-nashini ek din bazar dekhegi
zarurat kar rahi hai be-qarar aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.