qadam uThe hain to dhul aasman tak jae
qadam uThe haiñ to dhuul āsmān tak jaa.e
chale chalo ki jahāñ tak bhī ye saḌak jaa.e
nazar uThāo ki ab tīrgī ke chehre par
ajab nahīñ ki koī raushnī lapak jaa.e
gudāz jism se phūloñ pe uñgliyāñ rakh duuñ
ye shāḳh aur zarā sā agar lachak jaa.e
kabhī kabhār tire jism kā akelā-pan
mire ḳhayāl kī uryāniyat ko Dhak jaa.e
tire ḳhayāl kī tamsīl yuuñ samajh jānāñ
dil o dimāġh meñ bijlī sī ik chamak jaa.e
tire visāl kī ummīd yuuñ bhī TuuTī hai
ki aañkh bhar bhī nahīñ paa.e aur chhalak jaa.e
kabhī kabhār bharose kā qatl yuuñ bhī ho
ki jaise paañv tale se zamīñ sarak jaa.e
qadam uThe hain to dhul aasman tak jae
chale chalo ki jahan tak bhi ye saDak jae
nazar uThao ki ab tirgi ke chehre par
ajab nahin ki koi raushni lapak jae
gudaz jism se phulon pe ungliyan rakh dun
ye shaKH aur zara sa agar lachak jae
kabhi kabhaar tere jism ka akela-pan
mere KHayal ki uryaniyat ko Dhak jae
tere KHayal ki tamsil yun samajh jaanan
dil o dimagh mein bijli si ek chamak jae
tere visal ki ummid yun bhi TuTi hai
ki aankh bhar bhi nahin pae aur chhalak jae
kabhi kabhaar bharose ka qatl yun bhi ho
ki jaise panw tale se zamin sarak jae
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 42)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.