qadam uThe to ajab dil-gudaz manzar tha
qadam uThe to ajab dil-gudāz manzar thā
maiñ āp-apne liye rāste kā patthar thā
dil ek aur hazār āzmā.isheñ ġham kī
diyā jalā to thā lekin havā kī zad par thā
har ā.īna mirī āñkhoñ se pūchh letā hai
vo aks kyā hue ābād jin se ye ghar thā
har ik azaab ko maiñ sah gayā magar na milā
vo ek ġham jo mire hausle se baḌh kar thā
ye vahm thā ki mujhe vo bhulā chukā hogā
magar milā to vo merī hī tarah muztar thā
hazār baar ḳhud apne makāñ pe dastak dī
ik ehtimāl meñ jaise ki maiñ hī andar thā
tamām umr kī tanhā.iyāñ sameTī haiñ
yahī mire dar-o-dīvār kā muqaddar thā
udaas rastoñ meñ paiham sulagtī sub.hoñ meñ
jo ġham-gusār thā koī to dīda-e-tar thā
qadam uThe to ajab dil-gudaz manzar tha
main aap-apne liye raste ka patthar tha
dil ek aur hazar aazmaishen gham ki
diya jala to tha lekin hawa ki zad par tha
har aaina meri aankhon se puchh leta hai
wo aks kya hue aabaad jin se ye ghar tha
har ek azab ko main sah gaya magar na mila
wo ek gham jo mere hausle se baDh kar tha
ye wahm tha ki mujhe wo bhula chuka hoga
magar mila to wo meri hi tarah muztar tha
hazar bar KHud apne makan pe dastak di
ek ehtimal mein jaise ki main hi andar tha
tamam umr ki tanhaiyan sameTi hain
yahi mere dar-o-diwar ka muqaddar tha
udas raston mein paiham sulagti subhon mein
jo gham-gusar tha koi to dida-e-tar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.