qadmon ka rah-e-dil pe nishan koi nahin tha
qadmoñ kā rah-e-dil pe nishāñ koī nahīñ thā
muddat se yahāñ gasht-kunāñ koī nahīñ thā
tujh ko to mire dost hai tanhā.ī mayassar
maiñ ne vahāñ kaaTī hai jahāñ koī nahīñ thā
vaise to bahut bhiiḌ thī is ḳhāna-e-dil meñ
lekin mire matlab kā yahāñ koī nahīñ thā
koī bhī nahīñ thā jise ham dil kī sunāte
koī bhī nahīñ thā mirī jaañ koī nahīñ thā
tū chhoḌ gayā tab bhī ziyāñ koī nahīñ hai
tū saath bhī hotā to ziyāñ koī nahīñ thā
tū vahm thā merā ki koī Duub rahā hai
tū sach meñ sar-e-āb-e-ravāñ koī nahīñ thā
qadmon ka rah-e-dil pe nishan koi nahin tha
muddat se yahan gasht-kunan koi nahin tha
tujh ko to mere dost hai tanhai mayassar
main ne wahan kaTi hai jahan koi nahin tha
waise to bahut bhiD thi is KHana-e-dil mein
lekin mere matlab ka yahan koi nahin tha
koi bhi nahin tha jise hum dil ki sunate
koi bhi nahin tha meri jaan koi nahin tha
tu chhoD gaya tab bhi ziyan koi nahin hai
tu sath bhi hota to ziyan koi nahin tha
tu wahm tha mera ki koi Dub raha hai
tu sach mein sar-e-ab-e-rawan koi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.