qadmon pe tere daulat-o-din war gae hum
qadmon pe tere daulat-o-din war gae hum
Saeed-ul-Zafar Chughtai
MORE BYSaeed-ul-Zafar Chughtai
qadmoñ pe tire daulat-o-dīñ vaar ga.e ham
haañ ahl-e-havas jiit ga.e haar ga.e ham
sar thā to rahā ek hī ġham ek hī saudā
dar terā salāmat thā to sau baar ga.e ham
haañ haañ vo umangoñ ke umañDte hue dariyā
Duube haiñ phir ubhre haiñ tab us paar ga.e ham
uTThī hai to ai mauj-e-balā sar se guzar jā
ab tak to na sāhil pe subuksār ga.e ham
sach hai ki na yūsuf the na yūsuf ke ḳharīdār
kan.āñ se magar misr ke bāzār ga.e ham
ik umr tarāshā kiye jiine ke bahāne
tā-āñki sar-e-auj-e-sar-e-dār ga.e ham
qadmon pe tere daulat-o-din war gae hum
han ahl-e-hawas jit gae haar gae hum
sar tha to raha ek hi gham ek hi sauda
dar tera salamat tha to sau bar gae hum
han han wo umangon ke umanDte hue dariya
Dube hain phir ubhre hain tab us par gae hum
uTThi hai to ai mauj-e-bala sar se guzar ja
ab tak to na sahil pe subuksar gae hum
sach hai ki na yusuf the na yusuf ke KHaridar
kanan se magar misr ke bazar gae hum
ek umr tarasha kiye jine ke bahane
ta-anki sar-e-auj-e-sar-e-dar gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.