qadr ki raat baDi pyari hai
qadr kī raat baḌī pyārī hai
din isī rain kā darbārī hai
mirī āvāz pe murkī murkī
lahn-e-dā.ūd kī sardārī hai
rang lā.egī ye ik din āḳhir
mirī fariyād bhī pichkārī hai
us babar-mard kī allāh re qazā
jis pe allāh ne razā vaarī hai
tuur bijlī kī javāñ-sāl kaḌak
nuur kī reshmīñ kilkārī hai
daaġh kahte haiñ jise kamle kavī
vo to īmān kī chingārī hai
qadr ki raat baDi pyari hai
din isi rain ka darbari hai
meri aawaz pe murki murki
lahn-e-daud ki sardari hai
rang laegi ye ek din aaKHir
meri fariyaad bhi pichkari hai
us babar-mard ki allah re qaza
jis pe allah ne raza wari hai
tur bijli ki jawan-sal kaDak
nur ki reshmin kilkari hai
dagh kahte hain jise kamle kawi
wo to iman ki chingari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.