qafas-e-jism-o-jaan mein qaid rahe
qafas-e-jism-o-jāñ meñ qaid rahe
apne hī āshiyāñ meñ qaid rahe
ārzū-e-makān se chhūTe
ḳhvāhish-e-lā-makāñ meñ qaid rahe
nāla-e-andalīb-o-naġhma-e-gul
kyoñ bahār-o-ḳhizāñ meñ qaid rahe
ḳhvāb āñkhoñ se ho ga.e ojhal
dil kī chashm-e-nihāñ meñ qaid rahe
soz aur saaz aql-o-dil 'tal.at'
sīna-e-āshiqāñ meñ qaid rahe
qafas-e-jism-o-jaan mein qaid rahe
apne hi aashiyan mein qaid rahe
aarzu-e-makan se chhuTe
KHwahish-e-la-makan mein qaid rahe
nala-e-andalib-o-naghma-e-gul
kyon bahaar-o-KHizan mein qaid rahe
KHwab aankhon se ho gae ojhal
dil ki chashm-e-nihan mein qaid rahe
soz aur saz aql-o-dil 'talat'
sina-e-ashiqan mein qaid rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.