qafas ko jaante hain yas aashiyan apna
Interesting Fact
1916
qafas ko jānte haiñ 'yās' āshiyāñ apnā
makān apnā zamīn apnī āsmāñ apnā
havā-e-tund meñ Thahrā na āshiyāñ apnā
charāġh jal na sakā zer-e-āsmāñ apnā
sunā hai rañg zamāna kā e'tibār nahīñ
badal na jaa.e yaqīñ se kahīñ gumāñ apnā
bas ek sāya-e-dīvār-e-yār kyā kam hai
uThā le sar se mire saaya āsmāñ apnā
maze ke saath hoñ andoh-o-ġham to kyā kahnā
yaqīñ na ho to kare koī imtihāñ apnā
sharīk-e-hāl huā hai jo faqr-o-fāqa meñ
gaḌhegā saath hī kyā apne mehmāñ apnā
ajiib bhūl-bhulayyāñ hai manzil-e-hastī
bhaTaktā-phirtā hai gum-gashta kārvāñ apnā
kidhar se aatī hai yūsuf kī bū-e-mastāna
ḳharāb phirtā hai jañgal meñ kārvāñ apnā
jaras ne muzhda-e-manzil sunā ke chauñkāyā
nikal chalā thā dabe paañv kārvāñ apnā
ḳhudā kisī ko bhī ye ḳhvāb-e-bad na dikhlā.e
qafas ke sāmne jaltā hai āshiyāñ apnā
hamāre qatl kā va.ada hai ġhair ke hāthoñ
ajiib shart pe Thahrā hai imtihāñ apnā
hamārā rañg-e-suḳhan 'yās' koī kyā jaane
sivā.e 'ātish' huā kaun ham-zabāñ apnā
qafas ko jaante hain 'yas' aashiyan apna
makan apna zamin apni aasman apna
hawa-e-tund mein Thahra na aashiyan apna
charagh jal na saka zer-e-asman apna
suna hai rang zamana ka e'tibar nahin
badal na jae yaqin se kahin guman apna
bas ek saya-e-diwar-e-yar kya kam hai
uTha le sar se mere saya aasman apna
maze ke sath hon andoh-o-gham to kya kahna
yaqin na ho to kare koi imtihan apna
sharik-e-haal hua hai jo faqr-o-faqa mein
gaDhega sath hi kya apne mehman apna
ajib bhul-bhulayyan hai manzil-e-hasti
bhaTakta-phirta hai gum-gashta karwan apna
kidhar se aati hai yusuf ki bu-e-mastana
KHarab phirta hai jangal mein karwan apna
jaras ne muzhda-e-manzil suna ke chaunkaya
nikal chala tha dabe panw karwan apna
KHuda kisi ko bhi ye KHwab-e-bad na dikhlae
qafas ke samne jalta hai aashiyan apna
hamare qatl ka wada hai ghair ke hathon
ajib shart pe Thahra hai imtihan apna
hamara rang-e-suKHan 'yas' koi kya jaane
siwae 'atish' hua kaun ham-zaban apna
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 228)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.