qafas mein hon ki tair aashiyan mein
qafas meñ hoñ ki taa.ir āshiyāñ meñ
tirā karte haiñ zikr apnī zabāñ meñ
chaman yuuñ hī rahegā nazr-e-sarsar
hai ik tinkā bhī jab tak āshiyāñ meñ
hujūm-e-ashk meñ miltā nahīñ dil
mirā yūsuf hai gum is kārvāñ meñ
muzakkar aur muannas kī haiñ bahseñ
baḌā jhagḌā hai ye urdu zabāñ meñ
'jalīl' is baaġh meñ kāñTe kī sūrat
khaTaktā hai nigāh-e-bāġhbāñ meñ
qafas mein hon ki tair aashiyan mein
tera karte hain zikr apni zaban mein
chaman yun hi rahega nazr-e-sarsar
hai ek tinka bhi jab tak aashiyan mein
hujum-e-ashk mein milta nahin dil
mera yusuf hai gum is karwan mein
muzakkar aur muannas ki hain bahsen
baDa jhagDa hai ye urdu zaban mein
'jalil' is bagh mein kanTe ki surat
khaTakta hai nigah-e-baghban mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.