Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qafas mein jab chaman yaad aa gaya hai

Sayyad Safdar Raza Khandvi

qafas mein jab chaman yaad aa gaya hai

Sayyad Safdar Raza Khandvi

MORE BYSayyad Safdar Raza Khandvi

    qafas meñ jab chaman yaad aa gayā hai

    bahāroñ chalan yaad aa gayā hai

    chhiḌā jab tazkira ahd-e-vafā

    koī va.ada shikan yaad aa gayā hai

    uḌātā hai ḳhas-o-ḳhāshāk sar par

    use dasht-o-daman yaad aa gayā hai

    jale dil se dhuāñ uThne lagā hai

    charāġh-e-anjuman yaad aa gayā hai

    tirī mai-bār nazroñ ke tasadduq

    koī tauba-shikan yaad aa gayā hai

    palaT aaya razā kuchh duur chal kar

    use apnā vachan yaad aa gayā hai

    qafas mein jab chaman yaad aa gaya hai

    bahaaron ka chalan yaad aa gaya hai

    chhiDa jab tazkira ahd-e-wafa ka

    koi wada shikan yaad aa gaya hai

    uData hai KHas-o-KHashak sar par

    use dasht-o-daman yaad aa gaya hai

    jale dil se dhuan uThne laga hai

    charagh-e-anjuman yaad aa gaya hai

    teri mai-bar nazron ke tasadduq

    koi tauba-shikan yaad aa gaya hai

    palaT aaya raza kuchh dur chal kar

    use apna wachan yaad aa gaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now