qaid aap apne hi mein raha hun ghalat nahin
qaid aap apne hī meñ rahā huuñ ġhalat nahīñ
maiñ sūrat-e-ḳhayāl jiyā huuñ ġhalat nahīñ
paanī kā bulbula hai haqīqat meñ zindagī
phir bhī maiñ vāhimoñ meñ paḌā huuñ ġhalat nahīñ
ā.īna dekhtā hai mujhe aa.ine ko maiñ
yuuñ 'aks 'aks TuuT gayā huuñ ġhalat nahīñ
saa.e ko mere dekh ke ye maan leñge aap
maiñ aap apne qad se baḌā huuñ ġhalat nahīñ
'premī' agar kahūñ ki kisī ke baġhair maiñ
ḳhud se bhī ajnabī hī rahā huuñ ġhalat nahīñ
qaid aap apne hi mein raha hun ghalat nahin
main surat-e-KHayal jiya hun ghalat nahin
pani ka bulbula hai haqiqat mein zindagi
phir bhi main wahimon mein paDa hun ghalat nahin
aaina dekhta hai mujhe aaine ko main
yun 'aks 'aks TuT gaya hun ghalat nahin
sae ko mere dekh ke ye man lenge aap
main aap apne qad se baDa hun ghalat nahin
'premi' agar kahun ki kisi ke baghair main
KHud se bhi ajnabi hi raha hun ghalat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.