qaid-e-shab-e-hayat badan mein guzar ke
qaid-e-shab-e-hayāt badan meñ guzār ke
uḌ jā.ūñgā maiñ sub.h aziyyat utaar ke
ik dhuup zindagī ko yuuñ sahrā banā ga.ī
aa.e na is ujaaḌ meñ mausam bahār ke
ye be-gunāh sham.a jalegī tamām raat
is ke laboñ se chhū ga.e the lab sharār ke
sīlan ko raah mil ga.ī dīmak ko sair-gāh
anjām dekh lījiye ghar kī darār ke
sajtī nahīñ hai tum pe ye tahzīb-e-maġhribī
ik to phaTe libās haiñ vo bhī udhār ke
bādal nahīñ huzūr ye āñdhī hai aag kī
āñkhoñ se dekhiye zarā chashma utaar ke
jab hathkaḌī ko toḌ ke kāfir huā farār
rote rahe asiir ḳhudā ko pukār ke
qaid-e-shab-e-hayat badan mein guzar ke
uD jaunga main subh aziyyat utar ke
ek dhup zindagi ko yun sahra bana gai
aae na is ujaD mein mausam bahaar ke
ye be-gunah shama jalegi tamam raat
is ke labon se chhu gae the lab sharar ke
silan ko rah mil gai dimak ko sair-gah
anjam dekh lijiye ghar ki darar ke
sajti nahin hai tum pe ye tahzib-e-maghribi
ek to phaTe libas hain wo bhi udhaar ke
baadal nahin huzur ye aandhi hai aag ki
aankhon se dekhiye zara chashma utar ke
jab hathkaDi ko toD ke kafir hua farar
rote rahe asir KHuda ko pukar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.