Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaid mein guzregi jo umr baDe kaam ki thi

Parveen Shakir

qaid mein guzregi jo umr baDe kaam ki thi

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    qaid meñ guzregī jo umr baḌe kaam thī

    par maiñ kyā kartī ki zanjīr tire naam thī

    jis ke māthe pe mire baḳht taara chamkā

    chāñd ke Dūbne baat usī shaam thī

    maiñ ne hāthoñ ko patvār banāyā varna

    ek TuuTī huī kashtī mire kis kaam thī

    vo kahānī ki abhī sūiyāñ niklīñ bhī na thiiñ

    fikr har shaḳhs ko shahzādī ke anjām thī

    ye havā kaise uḌā le ga.ī āñchal merā

    yuuñ satāne to aadat mire ghanshyām thī

    bojh uThāte hue phirtī hai hamārā ab tak

    ai zamīñ-māñ tirī ye umr to ārām thī

    qaid mein guzregi jo umr baDe kaam ki thi

    par main kya karti ki zanjir tere nam ki thi

    jis ke mathe pe mere baKHt ka tara chamka

    chand ke Dubne ki baat usi sham ki thi

    main ne hathon ko hi patwar banaya warna

    ek TuTi hui kashti mere kis kaam ki thi

    wo kahani ki abhi suiyan niklin bhi na thin

    fikr har shaKHs ko shahzadi ke anjam ki thi

    ye hawa kaise uDa le gai aanchal mera

    yun satane ki to aadat mere ghanshyam ki thi

    bojh uThate hue phirti hai hamara ab tak

    ai zamin-man teri ye umr to aaram ki thi

    Source :
    • Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 220)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now