Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaid se pahle bhi aazadi meri KHatre mein thi

Aasi uldani

qaid se pahle bhi aazadi meri KHatre mein thi

Aasi uldani

MORE BYAasi uldani

    qaid se pahle bhī āzādī mirī ḳhatre meñ thī

    āshiyāna mirā sūrat-numā-e-dām thā

    vāhima ḳhallāq aur āzādī husn-afzā surūr

    har fareb-rañg pahle gulistāñ naam thā

    zo.af aahoñ par bhī ġhālib ho chalā thā ai ajal

    na aatī to ye merā āḳhirī paiġhām thā

    dīda-e-ḳhūñ-nāba-afshāñ merā un ke sāmne

    be-ḳhudī ke haath se chhūTā huā ik jaam thā

    qaid se pahle bhi aazadi meri KHatre mein thi

    aashiyana hi mera surat-numa-e-dam tha

    wahima KHallaq aur aazadi husn-afza surur

    har fareb-rang ka pahle gulistan nam tha

    zoaf aahon par bhi ghaalib ho chala tha ai ajal

    tu na aati to ye mera aaKHiri paigham tha

    dida-e-KHun-naba-afshan mera un ke samne

    be-KHudi ke hath se chhuTa hua ek jam tha

    Source :
    • Book : Noquush (Pg. B-327 E343)
    • Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
    • Edition : May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now