qais ka bhi kahin Thikana ho
qais kā bhī kahīñ Thikānā ho
thoḌā paanī ho thoḌā daana ho
apnā patjhaḌ chhupā ke siine meñ
bāġh-e-duniyā meñ aanā jaanā ho
sard hoñ garm hoñ havā.eñ hoñ
mausam-e-dil zarā suhānā ho
ek āñgan ho do muñDereñ hoñ
aur thoḌā sā chahchahānā ho
ik tasavvur zarā sā lams-e-hunar
terā paikar ho jo banānā ho
qais ka bhi kahin Thikana ho
thoDa pani ho thoDa dana ho
apna patjhaD chhupa ke sine mein
bagh-e-duniya mein aana jaana ho
sard hon garm hon hawaen hon
mausam-e-dil zara suhana ho
ek aangan ho do munDeren hon
aur thoDa sa chahchahana ho
ek tasawwur zara sa lams-e-hunar
tera paikar ho jo banana ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.