qalam mein raushni kam aur dhuan ziyaada hai
qalam meñ raushnī kam aur dhuāñ ziyāda hai
ġhazal likhī to tabī.at ravāñ ziyāda hai
mujhe to ilm nahīñ tū koī hisāb lagā
kahāñ pe kam hai mohabbat kahāñ ziyāda hai
faqīr laḌkī huuñ mere liye mire ḳhāliq
jo sach kahūñ jo diyā tū ne haañ ziyāda hai
mire makān kā sahrā se kyā muvāzana hai
yahāñ pe shor ziyāda ziyāñ ziyāda hai
hamāre hisse hai jo bhī hameñ nahīñ ma.alūm
zamīñ ziyāda hai yā āsmāñ ziyāda hai
ab us kī vāpsī mumkin nahīñ kisī bhī tarah
yaqīn se kahīñ vo bad-gumāñ ziyāda hai
hamāre shahr meñ phūloñ kā zikr kaun kare
hamāre shahr meñ 'sādī' ḳhizāñ ziyāda hai
qalam mein raushni kam aur dhuan ziyaada hai
ghazal likhi to tabiat rawan ziyaada hai
mujhe to ilm nahin tu koi hisab laga
kahan pe kam hai mohabbat kahan ziyaada hai
faqir laDki hun mere liye mere KHaliq
jo sach kahun jo diya tu ne han ziyaada hai
mere makan ka sahra se kya muwazana hai
yahan pe shor ziyaada ziyan ziyaada hai
hamare hisse hai jo bhi hamein nahin malum
zamin ziyaada hai ya aasman ziyaada hai
ab us ki wapsi mumkin nahin kisi bhi tarah
yaqin se kahin wo bad-guman ziyaada hai
hamare shahr mein phulon ka zikr kaun kare
hamare shahr mein 'sadi' KHizan ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.