qalb mein KHwahishen mudgham nahin karne wale
qalb meñ ḳhvāhisheñ mudġham nahīñ karne vaale
mā-sivā rab kahīñ sar ḳham nahīñ karne vaale
dil ke zaḳhmoñ meñ tujhe de ke jagah ham dil ko
vahshat-o-chain kā sañgam nahīñ karne vaale
tujh ko jaanā hai to jā puurī ijāzat hai tujhe
ham tire baad tirā ġham nahīñ karne vaale
dard ho laakh yā siine se lahū ristā ho
shabnamī aañkh kā mausam nahīñ karne vaale
ham anā-ḳhvār anā-dār anā vaale haiñ
ham mohabbat ko muqaddam nahīñ karne vaale
ai dil-e-'zoyā' tujhe marne kī jaldī hai to jā
ham tirī maut kā mātam nahīñ karne vaale
qalb mein KHwahishen mudgham nahin karne wale
ma-siwa rab kahin sar KHam nahin karne wale
dil ke zaKHmon mein tujhe de ke jagah hum dil ko
wahshat-o-chain ka sangam nahin karne wale
tujh ko jaana hai to ja puri ijazat hai tujhe
hum tere baad tera gham nahin karne wale
dard ho lakh ya sine se lahu rista ho
shabnami aankh ka mausam nahin karne wale
hum ana-KHwar ana-dar ana wale hain
hum mohabbat ko muqaddam nahin karne wale
ai dil-e-'zoya' tujhe marne ki jaldi hai to ja
hum teri maut ka matam nahin karne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.