qamar han mein badli nahin rafta-rafta
'qamar' haañ meñ badlī nahīñ rafta-rafta
ki ham se khulā vo hasīñ rafta-rafta
galī meñ Tahalne ko niklā thā kal vo
makānoñ se nikle makīñ rafta-rafta
maza kuchh to aa.e bichhaḌne kā ham ko
baḌhā chaah ai ham-nashīñ rafta-rafta
so ik ek munkir ne rakh dī bil-āḳhir
tire āshiyāñ par jabīñ rafta-rafta
kisī kā na ehsāñ uThāyā ki ham to
hue ḳhaak apne ta.iiñ rafta-rafta
huā tiir paivast-e-jāñ dhīre-dhīre
huī aañkh vo surmagīñ rafta-rafta
chale barq-raftārī se sū-e-aflāk
kiyā āsmāñ ko zamīñ rafta-rafta
'qamar' han mein badli nahin rafta-rafta
ki hum se khula wo hasin rafta-rafta
gali mein Tahalne ko nikla tha kal wo
makanon se nikle makin rafta-rafta
maza kuchh to aae bichhaDne ka hum ko
baDha chah ai ham-nashin rafta-rafta
so ek ek munkir ne rakh di bil-aKHir
tere aashiyan par jabin rafta-rafta
kisi ka na ehsan uThaya ki hum to
hue KHak apne tain rafta-rafta
hua tir paiwast-e-jaan dhire-dhire
hui aankh wo surmagin rafta-rafta
chale barq-raftari se su-e-aflak
kiya aasman ko zamin rafta-rafta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.