Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qand-e-dahan kuchh is se ziyaada

Faiz Ahmad Faiz

qand-e-dahan kuchh is se ziyaada

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    Interesting Fact

    Dedicated to Persian Sufi poet Haafiz Shirazi

    qand-e-dahan kuchh is se ziyāda

    lutf-e-suḳhan kuchh is se ziyāda

    fasl-e-ḳhizāñ meñ lutf-e-bahārāñ

    barg-e-saman kuchh is se ziyāda

    hāl-e-chaman par talḳh-navā.ī

    murġh-e-chaman kuchh is se ziyāda

    dil-shikanī bhī dildārī bhī

    yād-e-vatan kuchh is se ziyāda

    sham'-e-badan fānūs-e-qabā meñ

    ḳhūbī-e-tan kuchh is se ziyāda

    ishq meñ kyā hai ġham ke alāva

    ḳhvāja-e-man kuchh is se ziyāda

    qand-e-dahan kuchh is se ziyaada

    lutf-e-suKHan kuchh is se ziyaada

    fasl-e-KHizan mein lutf-e-bahaaran

    barg-e-saman kuchh is se ziyaada

    haal-e-chaman par talKH-nawai

    murgh-e-chaman kuchh is se ziyaada

    dil-shikani bhi dildari bhi

    yaad-e-watan kuchh is se ziyaada

    sham'-e-badan fanus-e-qaba mein

    KHubi-e-tan kuchh is se ziyaada

    ishq mein kya hai gham ke alawa

    KHwaja-e-man kuchh is se ziyaada

    Source :
    • Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 661)
    • Publication : Educational Publishing House (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now