qarar-e-jaan bhi tumhi iztirab-e-jaan bhi tumhi
qarar-e-jaan bhi tumhi iztirab-e-jaan bhi tumhi
Ahmad Nadeem Qasmi
MORE BYAhmad Nadeem Qasmi
qarār-e-jāñ bhī tumhī iztirāb-e-jāñ bhī tumhī
mirā yaqīñ bhī tumhī ho mirā gumāñ bhī tumhī
tumhārī jaan hai nik.hat tumhārā jism bahār
mirī ġhazal bhī tumhī merī dāstāñ bhī tumhī
ye kyā tilism hai dariyā meñ ban ke aks-e-qamar
ruke hue bhī tumhī ho ravāñ-davāñ bhī tumhī
ḳhudā kā shukr mirā rāsta muayyan hai
ki kārvāñ bhī tumhī mīr-e-kārvāñ bhī tumhī
tumhī ho jis se milī mujh ko shān-e-istiġhnā
ki merā ġham bhī tumhī ġham ke rāz-dāñ bhī tumhī
nihāñ ho zehn meñ vijdān kā dhuāñ ban kar
ufuq pe manzil-e-idrāk kā nishāñ bhī tumhī
tamām husn-e-amal hoñ tamām husn-e-bayāñ
ki merā dil bhī tumhī ho mirī zabāñ bhī tumhī
qarar-e-jaan bhi tumhi iztirab-e-jaan bhi tumhi
mera yaqin bhi tumhi ho mera guman bhi tumhi
tumhaari jaan hai nikhat tumhaara jism bahaar
meri ghazal bhi tumhi meri dastan bhi tumhi
ye kya tilism hai dariya mein ban ke aks-e-qamar
ruke hue bhi tumhi ho rawan-dawan bhi tumhi
KHuda ka shukr mera rasta muayyan hai
ki karwan bhi tumhi mir-e-karwan bhi tumhi
tumhi ho jis se mili mujh ko shan-e-istighna
ki mera gham bhi tumhi gham ke raaz-dan bhi tumhi
nihan ho zehn mein wijdan ka dhuan ban kar
ufuq pe manzil-e-idrak ka nishan bhi tumhi
tamam husn-e-amal hon tamam husn-e-bayan
ki mera dil bhi tumhi ho meri zaban bhi tumhi
- Book : Intekhab-e-Kulliyat-e-ahmed Nadeem Qasmi (Pg. 93)
- Author : Ahmed Nadeem Qasmi
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.