qarar tujhko dil-e-be-qarar aa jae
qarār tujh ko dil-e-be-qarār aa jaa.e
taḌap kuchh aise ki zālim ko pyaar aa jaa.e
navāzishoñ pe agar husn-e-yār aa jaa.e
zabān-e-ḳhār ko nutq-e-hazār aa jaa.e
tulū-e-sub.h se raushan charāġh rakhte haiñ
kaTe bhī din vo shab-e-intizār aa jaa.e
tirā bhī ai ġham-e-daurāñ maiñ zor dekhūñgā
zarā sukūñ meñ dil-e-sogvār aa jaa.e
ġhazab kī dhuup hai ai dil na baiTh raste meñ
Thahar Thahar shajar-e-sāya-dār aa jaa.e
isī fareb ko husn-e-fareb kahte haiñ
vo jhuuT bol ki sach ko bhī pyaar aa jaa.e
nigār-ḳhāna-e-ahbāb se ġharaz mujh ko
kisī shumār meñ ye ḳhāksār aa jaa.e
ġhamoñ kī sharh se bazm-e-jahāñ meñ raunaq hai
bapā ho hashr agar iḳhtisār aa jaa.e
baḌī hasīn zamāne kī chaal hai lekin
fareb meñ dil-e-nā-puḳhta-kār aa jaa.e
'nazīr'-e-sub.h na phir vaqt-e-shām dekheñge
nazar meñ hāsil-e-lail-o-nahār aa jaa.e
qarar tujh ko dil-e-be-qarar aa jae
taDap kuchh aise ki zalim ko pyar aa jae
nawazishon pe agar husn-e-yar aa jae
zaban-e-KHar ko nutq-e-hazar aa jae
tulu-e-subh se raushan charagh rakhte hain
kaTe bhi din wo shab-e-intizar aa jae
tera bhi ai gham-e-dauran main zor dekhunga
zara sukun mein dil-e-sogwar aa jae
ghazab ki dhup hai ai dil na baiTh raste mein
Thahar Thahar shajar-e-saya-dar aa jae
isi fareb ko husn-e-fareb kahte hain
wo jhuT bol ki sach ko bhi pyar aa jae
nigar-KHana-e-ahbab se gharaz mujh ko
kisi shumar mein ye KHaksar aa jae
ghamon ki sharh se bazm-e-jahan mein raunaq hai
bapa ho hashr agar iKHtisar aa jae
baDi hasin zamane ki chaal hai lekin
fareb mein dil-e-na-puKHta-kar aa jae
'nazir'-e-subh na phir waqt-e-sham dekhenge
nazar mein hasil-e-lail-o-nahaar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.