qarib aa ke bhi koi kahe nahin milna
qarīb aa ke bhī koī kahe nahīñ milnā
sabhī se haath milānā gale nahīñ milnā
tumhāre chhoḌ ke jaane se maiñ ne sīkhā hai
jo Dher shauq se aa.e use nahīñ milnā
tere baġhair guzarte hue dinoñ keī qasam
ye din guzar bhī ga.e to tujhe nahīñ milnā
zarā sī der meñ insān siikh jaatā hai
ki kis se duurī bhalī hai kise nahīñ milnā
mahal meñ gūñjī hai āvāz shaah zaade keī
gale lagāo mujhe phir samay nahīñ milnā
qarib aa ke bhi koi kahe nahin milna
sabhi se hath milana gale nahin milna
tumhaare chhoD ke jaane se main ne sikha hai
jo Dher shauq se aae use nahin milna
tere baghair guzarte hue dinon kei qasam
ye din guzar bhi gae to tujhe nahin milna
zara si der mein insan sikh jata hai
ki kis se duri bhali hai kise nahin milna
mahal mein gunji hai aawaz shah zade kei
gale lagao mujhe phir samay nahin milna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.