qarib tum the shikayat tumhin se hona thi
qarīb tum the shikāyat tumhīñ se honā thī
ai shahr-e-dard mohabbat tumhīñ se honā thī
tumhārī jang isī sarzamīñ se honā thī
hazār haif mirī gul-zamīñ se honā thī
vo ek qatra ki jo ābgīn-sūrat thā
hamārī baat usī ābgīñ se honā thī
ye ne.amateñ mire ḳhvānoñ kī kis tarah utrīñ
ki merī baat to nān-e-javīñ se honā thī
gumān-o-vaham ke pahlū meñ kyoñ rahe zinda
ye guftugū mirī rūh-ul-amīñ se honā thī
kareñ jo aah to kyūñkar kareñ ki āḳhir-kār
vo ibtidā to kahīñ nā kahīñ se honā thī
na āb-o-dāna kā shikva na shikva-e-shab-o-roz
par ek jang to masnad-nashīñ se honā thī
visāl-o-hijr bhī us kī atā usī kā karam
usī kī baat usī dil-nashīñ se honā thī
qarib tum the shikayat tumhin se hona thi
ai shahr-e-dard mohabbat tumhin se hona thi
tumhaari jang isi sarzamin se hona thi
hazar haif meri gul-zamin se hona thi
wo ek qatra ki jo aabgin-surat tha
hamari baat usi aabgin se hona thi
ye neamaten mere KHwanon ki kis tarah utrin
ki meri baat to nan-e-jawin se hona thi
guman-o-waham ke pahlu mein kyon rahe zinda
ye guftugu meri ruh-ul-amin se hona thi
karen jo aah to kyunkar karen ki aaKHir-kar
wo ibtida to kahin na kahin se hona thi
na aab-o-dana ka shikwa na shikwa-e-shab-o-roz
par ek jang to masnad-nashin se hona thi
visal-o-hijr bhi us ki ata usi ka karam
usi ki baat usi dil-nashin se hona thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.