qarya-e-jaan mein koi phul khilane aae
qarya-e-jāñ meñ koī phuul khilāne aa.e
vo mire dil pe nayā zaḳhm lagāne aa.e
mere vīrān darīchoñ meñ bhī ḳhushbū jaage
vo mire ghar ke dar-o-bām sajāne aa.e
us se ik baar to rūThūñ maiñ usī kī mānind
aur mirī tarah se vo mujh ko manāne aa.e
isī kūche meñ ka.ī us ke shanāsā bhī to haiñ
vo kisī aur se milne ke bahāne aa.e
ab na pūchhūñgī maiñ kho.e hue ḳhvāboñ kā pata
vo agar aa.e to kuchh bhī na batāne aa.e
zabt kī shahr-panāhoñ kī mire mālik ḳhair
ġham kā sailāb agar mujh ko bahāne aa.e
qarya-e-jaan mein koi phul khilane aae
wo mere dil pe naya zaKHm lagane aae
mere viran darichon mein bhi KHushbu jage
wo mere ghar ke dar-o-baam sajaane aae
us se ek bar to ruThun main usi ki manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aae
isi kuche mein kai us ke shanasa bhi to hain
wo kisi aur se milne ke bahane aae
ab na puchhungi main khoe hue KHwabon ka pata
wo agar aae to kuchh bhi na batane aae
zabt ki shahr-panahon ki mere malik KHair
gham ka sailab agar mujh ko bahane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.