qarz-e-yaran ada nahin hota
qarz-e-yārāñ adā nahīñ hotā
sher dukh kā sila nahīñ hotā
vo judā mujh se ho gayā lekin
daaġh dil se judā nahīñ hotā
ek pal meñ sadī guzartī hai
us ke aane se kyā nahīñ hotā
us kī āñkheñ to baat kartī haiñ
vo magar lab-kushā nahīñ hotā
jāda-e-ġham meñ aarzū ke sivā
ham-safar dūsrā nahīñ hotā
qarz-e-yaran ada nahin hota
sher dukh ka sila nahin hota
wo juda mujh se ho gaya lekin
dagh dil se juda nahin hota
ek pal mein sadi guzarti hai
us ke aane se kya nahin hota
us ki aankhen to baat karti hain
wo magar lab-kusha nahin hota
jada-e-gham mein aarzu ke siwa
ham-safar dusra nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.