qasam KHuda ki na jaana kahin nahin jaana
qasam ḳhudā kī na jaanā kahīñ nahīñ jaanā
bahut burā hai zamāna kahīñ nahīñ jaanā
ruko ruko mire bhaa.ī pate kī baat suno
yahīñ dabā hai ḳhazāna kahīñ nahīñ jaanā
agar tumheñ kabhī jaanā ho tum chale jaanā
mujhe to va.ada nibhānā kahīñ nahīñ jaanā
sitāra ḳhud hī mirā jab tavāf kartā hai
to phir mujhe kahāñ jaanā kahīñ nahīñ jaanā
yuuñ hī koī nahīñ bantā hai vaqt kā sardār
kaTe to sar bhī kaTānā kahīñ nahīñ jaanā
ye dard-e-ishq tirā lā-ilāj hai 'yahyā'
use kabhī nahīñ jaanā kahīñ nahīñ jaanā
qasam KHuda ki na jaana kahin nahin jaana
bahut bura hai zamana kahin nahin jaana
ruko ruko mere bhai pate ki baat suno
yahin daba hai KHazana kahin nahin jaana
agar tumhein kabhi jaana ho tum chale jaana
mujhe to wada nibhana kahin nahin jaana
sitara KHud hi mera jab tawaf karta hai
to phir mujhe kahan jaana kahin nahin jaana
yun hi koi nahin banta hai waqt ka sardar
kaTe to sar bhi kaTana kahin nahin jaana
ye dard-e-ishq tera la-ilaj hai 'yahya'
use kabhi nahin jaana kahin nahin jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.