Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qatl mera hua makan se dur

Aleem Saba Navedi

qatl mera hua makan se dur

Aleem Saba Navedi

MORE BYAleem Saba Navedi

    qatl merā huā makāñ se duur

    mehrbānoñ meñ mehrbāñ se duur

    merā apnā safar hai lā-mahdūd

    merī apnī pahuñch gumāñ se duur

    mere apne vajūd sahrā

    aag aag hai dhuāñ se duur

    chīḳhte zaḳhm noch kar mujh ko

    le chalo aur kuchh yahāñ se duur

    band kamroñ meñ hai latīf maza

    lazzatoñ khulī dukāñ se duur

    ḳhushk mausam 'sabā' ko raas aa.e

    sabz pattoñ ke āshiyāñ se duur

    qatl mera hua makan se dur

    mehrbanon mein mehrban se dur

    mera apna safar hai la-mahdud

    meri apni pahunch guman se dur

    mere apne wajud ka sahra

    aag hi aag hai dhuan se dur

    chiKHte zaKHm noch kar mujh ko

    le chalo aur kuchh yahan se dur

    band kamron mein hai latif maza

    lazzaton ki khuli dukan se dur

    KHushk mausam 'saba' ko ras aae

    sabz patton ke aashiyan se dur

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now