qatl mera tumhein manzur hua KHub hua
qatl merā tumheñ manzūr huā ḳhuub huā
ranj thā ranj chalo duur huā ḳhuub huā
chārāgar ko mire rahm aa.egā ab to mujh par
dil ke har zaḳhm meñ nāsūr huā ḳhuub huā
hāl-e-ġhair us kā kabhī ham se na dekhā jaatā
shukr hai aañkh se dil duur huā ḳhuub huā
ye to ai 'ranj' ḳhudā kā bhī na qaa.il hotā
aadmī maut se majbūr huā ḳhuub huā
qatl mera tumhein manzur hua KHub hua
ranj tha ranj chalo dur hua KHub hua
chaaragar ko mere rahm aaega ab to mujh par
dil ke har zaKHm mein nasur hua KHub hua
haal-e-ghair us ka kabhi hum se na dekha jata
shukr hai aankh se dil dur hua KHub hua
ye to ai 'ranj' KHuda ka bhi na qail hota
aadmi maut se majbur hua KHub hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.