Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qatra-e-KHun-e-jigar ko chashm-e-tar tak le gae

Maroof Raebarelvi

qatra-e-KHun-e-jigar ko chashm-e-tar tak le gae

Maroof Raebarelvi

MORE BYMaroof Raebarelvi

    qatra-e-ḳhūn-e-jigar ko chashm-e-tar tak le ga.e

    ab ke aa.e aise bādal merā ghar tak le ga.e

    kam hoñ kuchh bechainiyāñ shāyad dar-o-dīvār

    ham tire kūche ke ik patthar ko ghar tak le ga.e

    tab ye jaanā sar barahna kar diyā hālāt ne

    be-ḳhayālī meñ jo ham hāthoñ ko sar tak le ga.e

    chhāñv meñ jis milā karte rahe ham muddatoñ

    mas.ala dil usī būḌhe shajar tak le ga.e

    kah diyā sab kuchh ba-shakl-e-sher un bazm meñ

    nāla-e-dil-soz ko ham yuuñ asar tak le ga.e

    tum ko jaanā thā to jaate ye ġhazab kaisā kiyā

    ġham chhupā kar muskurāne hunar tak le ga.e

    tab kahīñ kar hameñ 'mārūf' aaya hai qarār

    jab jabīn-e-shauq ko ham sang-e-dar tak le ga.e

    qatra-e-KHun-e-jigar ko chashm-e-tar tak le gae

    ab ke aae aise baadal mera ghar tak le gae

    kam hon kuchh bechainiyan shayad dar-o-diwar ki

    hum tere kuche ke ek patthar ko ghar tak le gae

    tab ye jaana sar barahna kar diya haalat ne

    be-KHayali mein jo hum hathon ko sar tak le gae

    chhanw mein jis ki mila karte rahe hum muddaton

    masala dil ka usi buDhe shajar tak le gae

    kah diya sab kuchh ba-shakl-e-sher un ki bazm mein

    nala-e-dil-soz ko hum yun asar tak le gae

    tum ko jaana tha to jate ye ghazab kaisa kiya

    gham chhupa kar muskurane ka hunar tak le gae

    tab kahin ja kar hamein 'maruf' aaya hai qarar

    jab jabin-e-shauq ko hum sang-e-dar tak le gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now