qatra hun magar raunaq-e-sahra hun bura hun
qatra huuñ magar raunaq-e-sahrā huuñ burā huuñ
mazlūm ke zaḳhmoñ kā masīhā huuñ burā huuñ
vo bai.at-e-fir.aun ke qaa.il haiñ so achchhe
maiñ vaqt ke namrūd se uljhā huuñ burā huuñ
tāġhūt-e-zamāna ko vo dete haiñ salāmī
maiñ us ko ḳhatā-kār jo kahtā huuñ burā huuñ
vo shahr meñ karte haiñ añdheroñ kī tijārat
maiñ zulm kī bastī kā ujālā huuñ burā huuñ
vo shāh-e-sitam-kār ke kahte haiñ qasīde
maiñ nauha-e-mazlūm jo kartā huuñ burā huuñ
vo ḳhānqahī diin ke pairav haiñ azal se
maiñ aaj talak sāhab-e-illā huuñ burā huuñ
'naqqāsh' vahī lā hai mire sher-o-suḳhan meñ
anjām shahādat hai maiñ sachchā huuñ burā huuñ
qatra hun magar raunaq-e-sahra hun bura hun
mazlum ke zaKHmon ka masiha hun bura hun
wo baiat-e-firaun ke qail hain so achchhe
main waqt ke namrud se uljha hun bura hun
taghut-e-zamana ko wo dete hain salami
main us ko KHata-kar jo kahta hun bura hun
wo shahr mein karte hain andheron ki tijarat
main zulm ki basti ka ujala hun bura hun
wo shah-e-sitam-kar ke kahte hain qaside
main nauha-e-mazlum jo karta hun bura hun
wo KHanqahi din ke pairaw hain azal se
main aaj talak sahab-e-illa hun bura hun
'naqqash' wahi la hai mere sher-o-suKHan mein
anjam shahadat hai main sachcha hun bura hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.