qatra qatra bikhar raha hai koi
qatra qatra bikhar rahā hai koī
bas karo hijr mar rahā hai koī
koī ab kis tarah batā.e use
tujh se ummīd kar rahā hai koī
apne zaḳhmoñ kī bad-mizājī meñ
paTriyoñ sā ukhaḌ rahā hai koī
gard hotī huī sadāoñ se
ḳhāmushī se nithar rahā hai koī
apnī sāñsoñ ke ḳhālī bartan meñ
mustaqil pyaas bhar rahā hai koī
dekh chehra bigaḌ na jaa.e kahīñ
be-tahāsha sañvar rahā hai koī
qatra qatra bikhar raha hai koi
bas karo hijr mar raha hai koi
koi ab kis tarah batae use
tujh se ummid kar raha hai koi
apne zaKHmon ki bad-mizaji mein
paTriyon sa ukhaD raha hai koi
gard hoti hui sadaon se
KHamushi se nithar raha hai koi
apni sanson ke KHali bartan mein
mustaqil pyas bhar raha hai koi
dekh chehra bigaD na jae kahin
be-tahasha sanwar raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.