qatre ko tum dariya kar do
qatre ko tum dariyā kar do
mujh ko apne jaisā kar do
dil meñ apnā pyaar jagā kar
kaash mohabbat vaalā kar do
mujh ko apnā kah kar sab se
mere pīchhe duniyā kar do
aisī āñdhī pyaar kī bhejo
dil kā gulshan sahrā kar do
tere sivā maiñ kuchh bhī na dekhūñ
aañkh pe aisā pardā kar do
dhaḌkan aa.heñ sab haiñ suunī
sāñsoñ ko bhī tanhā kar do
mahfil mahfil dekh chuke haiñ
jaan meñ aa kar jalva kar do
rukne lagī hai dil kī dhaḌkan
jī chāhe to achchhā kar do
apne 'ziyā' ke saath raho tum
mar jaa.e to zinda kar do
qatre ko tum dariya kar do
mujh ko apne jaisa kar do
dil mein apna pyar jaga kar
kash mohabbat wala kar do
mujh ko apna kah kar sab se
mere pichhe duniya kar do
aisi aandhi pyar ki bhejo
dil ka gulshan sahra kar do
tere siwa main kuchh bhi na dekhun
aankh pe aisa parda kar do
dhaDkan aahen sab hain suni
sanson ko bhi tanha kar do
mahfil mahfil dekh chuke hain
jaan mein aa kar jalwa kar do
rukne lagi hai dil ki dhaDkan
ji chahe to achchha kar do
apne 'ziya' ke sath raho tum
mar jae to zinda kar do
- Book : Qausain (Pg. 110)
- Author : Syed Zia Alvi
- Publication : Syed Zia Alvi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.