qaul-o-qarar jalte hain daulat ke ru-ba-ru
qaul-o-qarar jalte hain daulat ke ru-ba-ru
Syed Saddam Gilani Murad
MORE BYSyed Saddam Gilani Murad
qaul-o-qarār jalte haiñ daulat ke rū-ba-rū
lail-o-nahār jalte haiñ daulat ke rū-ba-rū
ḳhvāboñ kā suud le ke tamanna kī aag meñ
chīḳh-o-pukār jalte haiñ daulat ke rū-ba-rū
apne hī falsafoñ kā janāza nikāl kar
kuchh sogvār jalte haiñ daulat ke rū-ba-rū
apnī ġhazal kā qāfiya le is dayār meñ
le kar udhār jalte haiñ daulat ke rū-ba-rū
ishq-e-azal hai sajda-e-tauhīd kī nazar
ham be-qarār jalte haiñ daulat ke rū-ba-rū
qaul-o-qarar jalte hain daulat ke ru-ba-ru
lail-o-nahaar jalte hain daulat ke ru-ba-ru
KHwabon ka sud le ke tamanna ki aag mein
chiKH-o-pukar jalte hain daulat ke ru-ba-ru
apne hi falsafon ka janaza nikal kar
kuchh sogwar jalte hain daulat ke ru-ba-ru
apni ghazal ka qafiya le is dayar mein
le kar udhaar jalte hain daulat ke ru-ba-ru
ishq-e-azal hai sajda-e-tauhid ki nazar
hum be-qarar jalte hain daulat ke ru-ba-ru
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.