qaul tera shauq mera chahiye
qaul terā shauq merā chāhiye
jhūTh sach ke vāste kyā chāhiye
ho sake kyā apnī vahshat kā ilaaj
tere kūche meñ bhī sahrā chāhiye
go tirī nazroñ se kal gir hī paḌeñ
aaj to koī sahārā chāhiye
har taraf hai tere bīmāroñ kā shor
har galī meñ ik masīhā chāhiye
kyoñ na chhā.e mai-kashoñ ke sar par abr
kuchh gunahgāroñ kā parda chāhiye
kaash de kar kuchh girah se ho najāt
tujh ko zāhid dīn-o-duniyā chāhiye
kyoñ nahīñ dete tasallī 'dāġh' ko
us se liije gar tamanna chāhiye
qaul tera shauq mera chahiye
jhuTh sach ke waste kya chahiye
ho sake kya apni wahshat ka ilaj
tere kuche mein bhi sahra chahiye
go teri nazron se kal gir hi paDen
aaj to koi sahaara chahiye
har taraf hai tere bimaron ka shor
har gali mein ek masiha chahiye
kyon na chhae mai-kashon ke sar par abr
kuchh gunahgaron ka parda chahiye
kash de kar kuchh girah se ho najat
tujh ko zahid din-o-duniya chahiye
kyon nahin dete tasalli 'dagh' ko
us se lije gar tamanna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.