qayamat jis taraf se aa rahi hai
qayāmat jis taraf se aa rahī hai
usī jānib ye duniyā jā rahī hai
mire sikke bahut hushiyār rahnā
ki dollar kī hukūmat aa rahī hai
numā.ish to gulāboñ kī hai lekin
fazā meñ ḳhuun kī bū aa rahī hai
rifāqat jitnī chāhe ḳharch kiije
ye shai bāzār meñ ḳhuub aa rahī hai
ulaT de ye bisāt-e-arz yā-rab
tirī jannat bhī haarī jā rahī hai
dhamāke zalzale sailāb tūfāñ
zamīñ par bhī javānī aa rahī hai
bas itnā sā ta'āruf hai ġhazal kā
ye pyāsoñ ke liye dariyā rahī hai
qayamat jis taraf se aa rahi hai
usi jaanib ye duniya ja rahi hai
mere sikke bahut hushiyar rahna
ki dollar ki hukumat aa rahi hai
numaish to gulabon ki hai lekin
faza mein KHun ki bu aa rahi hai
rifaqat jitni chahe KHarch kije
ye shai bazar mein KHub aa rahi hai
ulaT de ye bisat-e-arz ya-rab
teri jannat bhi haari ja rahi hai
dhamake zalzale sailab tufan
zamin par bhi jawani aa rahi hai
bas itna sa ta'aruf hai ghazal ka
ye pyason ke liye dariya rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.