Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qayamaten guzar gain riwayaton ki soch mein

Humaira Rahman

qayamaten guzar gain riwayaton ki soch mein

Humaira Rahman

MORE BYHumaira Rahman

    qayāmateñ guzar ga.iiñ rivāyatoñ soch meñ

    ḳhalish jo thī vahī rahī mohabbatoñ soch meñ

    ye ab khulā ki us shā.erī meñ merī baat

    jo rañg ḳhaas thā miTā izāfatoñ soch meñ

    maiñ apne chehra-e-junūñ ko aa.ine meñ dekh luuñ

    to aks bujh na jā.egā haqīqatoñ soch meñ

    maiñ apnī dhuup chhāñv zamānateñ na de sakūñ

    to aap kyuuñ jaleñ-bujheñ tamāzatoñ soch meñ

    ajab mazāq us thā ki sar se paañv tak mujhe

    vafāoñ se bhigo diyā nadāmatoñ soch meñ

    ga.ī rutoñ ne hañs ke rāstoñ ke zaḳhm bhar diye

    'humairā' aaj kaun thā masāfatoñ soch meñ

    qayamaten guzar gain riwayaton ki soch mein

    KHalish jo thi wahi rahi mohabbaton ki soch mein

    ye ab khula ki us ki shaeri mein meri baat ka

    jo rang KHas tha miTa izafaton ki soch mein

    main apne chehra-e-junun ko aaine mein dekh lun

    to aks bujh na jaega haqiqaton ki soch mein

    main apni dhup chhanw ki zamanaten na de sakun

    to aap kyun jalen-bujhen tamazaton ki soch mein

    ajab mazaq us ka tha ki sar se panw tak mujhe

    wafaon se bhigo diya nadamaton ki soch mein

    gai ruton ne hans ke raston ke zaKHm bhar diye

    'humaira' aaj kaun tha masafaton ki soch mein

    Source :
    • Book : Urdu International (Pg. 130)
    • Author : Ashfaq Hussain
    • Publication : 9, Thirty fifth Street, 2, Toronto, Ontario, Canada M8w 3J8 (Nov. Dec. Jan. 1982, Volume 1, No.2)
    • Edition : Nov. Dec. Jan. 1982, Volume 1, No.2
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now