qaza har pal khaDi hai
qazā har pal khaḌī hai
anā phir bhī baḌī hai
jahāñ rokī thī sā'at
vahāñ dekho khaḌī hai
nikālo laash merī
mire andar paḌī hai
bahār aa.e to kaise
khaḌī sardī paḌī hai
maiñ ronā chāhtī huuñ
baḌī nāzuk ghaḌī hai
maiñ ik aisī kahānī
jo ab tak an-paḌhī
kahānī kyā hai 'mītā'
ḳhayāloñ kī kaḌī hai
qaza har pal khaDi hai
ana phir bhi baDi hai
jahan roki thi sa'at
wahan dekho khaDi hai
nikalo lash meri
mere andar paDi hai
bahaar aae to kaise
khaDi sardi paDi hai
main rona chahti hun
baDi nazuk ghaDi hai
main ek aisi kahani
jo ab tak an-paDhi
kahani kya hai 'mita'
KHayalon ki kaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.