qaza ho sar pe magar zindagi ki baaten hon
qazā ho sar pe magar zindagī kī bāteñ hoñ
nahīñ hai ishq magar āshiqī kī bāteñ hoñ
charāġh kī tarah jalte raho zamāne meñ
jahāñ bhī jaao vahāñ raushnī kī bāteñ hoñ
tum apne dil ko munavvar karo mohabbat se
vahāñ na baiTho jahāñ tīrgī kī bāteñ hoñ
ham apne saare ġhamoñ ko bhulā ke baiThe haiñ
hamāre sāmne bas ab ḳhushī kī bāteñ hoñ
hayāt aisī guzāro amal ke maidāñ meñ
tumhāre ba.ad faqat bandagī kī bāteñ hoñ
'turāb' zauq-e-samā.at nahīñ hai logoñ meñ
ab un ke sāmne kyā shā.irī kī bāteñ hoñ
qaza ho sar pe magar zindagi ki baaten hon
nahin hai ishq magar aashiqi ki baaten hon
charagh ki tarah jalte raho zamane mein
jahan bhi jao wahan raushni ki baaten hon
tum apne dil ko munawwar karo mohabbat se
wahan na baiTho jahan tirgi ki baaten hon
hum apne sare ghamon ko bhula ke baiThe hain
hamare samne bas ab KHushi ki baaten hon
hayat aisi guzaro amal ke maidan mein
tumhaare baad faqat bandagi ki baaten hon
'turab' zauq-e-samaat nahin hai logon mein
ab un ke samne kya shairi ki baaten hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.