qaza ka waqt ruKHsat ki ghaDi hai
qazā kā vaqt ruḳhsat kī ghaḌī hai
zarā Thahro ki ye manzil kaḌī hai
jise tum chhoḌ kar ruḳhsat hue the
vo bastī aaj tak suunī paḌī hai
abhī tak dil ke vīrāne meñ jaise
tamannā haath phailā.e khaḌī hai
mire dushman bhī ab to aa rahe haiñ
tumheñ kis vaqt jaane kī paḌī hai
tumhāre dard-mandoñ kī ḳhabar le
ġham-e-daurāñ ko aisī kyā paḌī hai
kisī kī yaad 'saif' aur dil kī hālat
ghanā jañgal akelī jhoñpaḌī hai
qaza ka waqt ruKHsat ki ghaDi hai
zara Thahro ki ye manzil kaDi hai
jise tum chhoD kar ruKHsat hue the
wo basti aaj tak suni paDi hai
abhi tak dil ke virane mein jaise
tamanna hath phailae khaDi hai
mere dushman bhi ab to aa rahe hain
tumhein kis waqt jaane ki paDi hai
tumhaare dard-mandon ki KHabar le
gham-e-dauran ko aisi kya paDi hai
kisi ki yaad 'saif' aur dil ki haalat
ghana jangal akeli jhonpaDi hai
- Book : Kaf-e-gulfarosh (Pg. 45)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.