qibla-e-ab-o-gil tumhin to ho
qibla-e-āb-o-gil tumhīñ to ho
ka.aba-e-jān-o-dil tumhīñ to ho
lā-makāñ duur dil bahut nazdīk
munfasil muttasil tumhīñ to ho
mere pahlū meñ dil na kyuuñ ho ḳhush
dil ke pahlū meñ dil tumhīñ to ho
tum se mil kar ḳhajil hamīñ to haiñ
ham se chhuT kar ḳhajil tumhīñ to ho
dil kī saḳhtī kā hai gila tum se
jis ne rakkhī ye sil tumhīñ to ho
jiite jī mujh ko maar Daalo tum
mālik jān-o-dil tumhīñ to ho
tum ko 'mā.il' bahut hai sharm-e-gunāh
rāt-din munfa.il tumhīñ to ho
qibla-e-ab-o-gil tumhin to ho
kaba-e-jaan-o-dil tumhin to ho
la-makan dur dil bahut nazdik
munfasil muttasil tumhin to ho
mere pahlu mein dil na kyun ho KHush
dil ke pahlu mein dil tumhin to ho
tum se mil kar KHajil hamin to hain
hum se chhuT kar KHajil tumhin to ho
dil ki saKHti ka hai gila tum se
jis ne rakkhi ye sil tumhin to ho
jite ji mujh ko mar Dalo tum
malik jaan-o-dil tumhin to ho
tum ko 'mail' bahut hai sharm-e-gunah
raat-din munfail tumhin to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.