qillat KHulus ki hai mohabbat ka kal hai
qillat ḳhulūs kī hai mohabbat kā kaal hai
is shahr-e-nā-sipās meñ jiinā muhāl hai
peḌoñ pe chāñdnī ke hayūle haiñ mahv-e-raqs
kamre meñ tīrgī kī lakīroñ kā jaal hai
sāñsoñ kā rabt jaise musalsal azaab ho
vo shaḳhs kyā jiye jise terā ḳhayāl hai
lamhoñ ne chhīn lī hai rutoñ se shaguftagī
ye saal mausamoñ ke taġhayyur kā saal hai
ab to shikast-e-jāñ ke amal se najāt de
ye nā-tavāñ vajūd dukhoñ se niDhāl hai
chiḌiyāñ chahak chahak ke pareshān ho ga.iiñ
kavvoñ kā shor ghar kī fazā kā vabāl hai
phūloñ kā lams chāñd kī ThanDak bhī hech hai
vo ḳhush badan to aap hī apnī misāl hai
aa phir se mere pyaar kī taqdīs ban 'niyāz'
aa kāñpte laboñ pe tirā hī savāl hai
qillat KHulus ki hai mohabbat ka kal hai
is shahr-e-na-sipas mein jina muhaal hai
peDon pe chandni ke hayule hain mahw-e-raqs
kamre mein tirgi ki lakiron ka jal hai
sanson ka rabt jaise musalsal azab ho
wo shaKHs kya jiye jise tera KHayal hai
lamhon ne chhin li hai ruton se shaguftagi
ye sal mausamon ke taghayyur ka sal hai
ab to shikast-e-jaan ke amal se najat de
ye na-tawan wajud dukhon se niDhaal hai
chiDiyan chahak chahak ke pareshan ho gain
kawwon ka shor ghar ki faza ka wabaal hai
phulon ka lams chand ki ThanDak bhi hech hai
wo KHush badan to aap hi apni misal hai
aa phir se mere pyar ki taqdis ban 'niyaz'
aa kanpte labon pe tera hi sawal hai
- Book : Abr, Hawa aur Barish (Pg. 54)
- Author : Niyaz Hussain Lakhvira
- Publication : Mavaraa Publications (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.