qismat bure kisi ke na is tarah lae din
qismat bure kisī ke na is tarah laa.e din
aafat na.ī hai roz musībat hai aa.e din
din san ye aur din diye allāh kī panāh
us maah ne to ḳhuub hī ham se ginā.e din
hai dam-shumārī din ko to aḳhtar-shumārī shab
is tarah to ḳhudā na kisī ke kaTā.e din
un kī nazar phirī ho to kyā apne din phireñ
abr-e-siyah ghirā ho to kyā muñh dikhā.e din
jī jāntā hai kyūñki ye kaTte haiñ roz o shab
dushman ko bhī ḳhudā na kabhī ye dikhā.e din
kyā lutf-e-zīst bharte haiñ din zindagī ke ham
'kaifī' bure kisī ke na taqdīr laa.e din
qismat bure kisi ke na is tarah lae din
aafat nai hai roz musibat hai aae din
din san ye aur din diye allah ki panah
us mah ne to KHub hi hum se ginae din
hai dam-shumari din ko to aKHtar-shumari shab
is tarah to KHuda na kisi ke kaTae din
un ki nazar phiri ho to kya apne din phiren
abr-e-siyah ghira ho to kya munh dikhae din
ji jaanta hai kyunki ye kaTte hain roz o shab
dushman ko bhi KHuda na kabhi ye dikhae din
kya lutf-e-zist bharte hain din zindagi ke hum
'kaifi' bure kisi ke na taqdir lae din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.