qismat hi se jine ka saman milega
qismat hi se jine ka saman milega
Khursheed Ambar Pratapgadhi
MORE BYKhursheed Ambar Pratapgadhi
qismat hī se jiine kā sāmān milegā
rāh-ravo ab aage registān milegā
bāhar niklo sab se rasm-o-rāh baḌhāo
jitnī choT lagegī utnā giyān milegā
maut se aise āñkh-micholī khel rahe ho
jaise tum ko phir se jīvan-dān milegā
shak ho koī to dekh lo tum ik mauqa de kar
har insān ke andar ek haivān milegā
logoñ kī dastār uchhālī hī jā.egī
ochhe ko jab mansab ālīshān milegā
ummīdoñ kī ainak pahne DhūñD rahā huuñ
shahr meñ āḳhir koī to insān milegā
sachchā shā.ir aur āsūda-ḳhātir 'ambar'
jab dekhoge vo tum ko hairān milegā
qismat hi se jine ka saman milega
rah-rawo ab aage registan milega
bahar niklo sab se rasm-o-rah baDhao
jitni choT lagegi utna giyan milega
maut se aise aankh-micholi khel rahe ho
jaise tum ko phir se jiwan-dan milega
shak ho koi to dekh lo tum ek mauqa de kar
har insan ke andar ek haiwan milega
logon ki dastar uchhaali hi jaegi
ochhe ko jab mansab aalishan milega
ummidon ki ainak pahne DhunD raha hun
shahr mein aaKHir koi to insan milega
sachcha shair aur aasuda-KHatir 'ambar'
jab dekhoge wo tum ko hairan milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.