qismat ki baat kar na muqaddar ki baat kar
qismat kī baat kar na muqaddar kī baat kar
husn-e-amal kī husn-e-tadabbur kī baat kar
kar apne ghar kī baat to auqāt apnī dekh
daarā kī baat kar na sikandar kī baat kar
kyā ġham jo māl-o-zar se nahīñ faizyāb tū
shikva na kar kisī se muqaddar kī baat kar
jo kuchh milā hai tujh ko muqaddar kī den hai
aql-o-hunar na husn-e-tadabbur kī baat kar
shā.ir hai agar sher kī qīmat na kar vasūl
apnā hunar na bech suḳhan-var kī baat kar
yaktā ho be-misāl ho lākhoñ meñ ek ho
aise hī kisī mard-e-dilāvar kī baat kar
kis maḳhmase meñ paḌ gayā 'āzam' tū āj-kal
vahm-o-gumāñ ko chhoḌ hunar-var kī baat kar
qismat ki baat kar na muqaddar ki baat kar
husn-e-amal ki husn-e-tadabbur ki baat kar
kar apne ghar ki baat to auqat apni dekh
dara ki baat kar na sikandar ki baat kar
kya gham jo mal-o-zar se nahin faizyab tu
shikwa na kar kisi se muqaddar ki baat kar
jo kuchh mila hai tujh ko muqaddar ki den hai
aql-o-hunar na husn-e-tadabbur ki baat kar
shair hai agar sher ki qimat na kar wasul
apna hunar na bech suKHan-war ki baat kar
yakta ho be-misal ho lakhon mein ek ho
aise hi kisi mard-e-dilawar ki baat kar
kis maKHmase mein paD gaya 'azam' tu aaj-kal
wahm-o-guman ko chhoD hunar-war ki baat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.