qissa-e-gham suna hua sa hai
qissa-e-ġham sunā huā sā hai
ye fasāna raTā huā sā hai
shahr meñ ho rahī hai shaam ki ab
koī tūfāñ rukā huā sā hai
jis bhī manzar meñ vo nazar aa.eñ
dil vahīñ par lagā huā sā hai
kis ne ye rāhzan nazar Daalī
saarā manzar luTā huā sā hai
mere zaḳhmoñ ko chhūne vaale tirā
koī nāḳhun baḌhā huā sā hai
jal rahā hai badan kā har hissa
dil magar kuchh bujhā huā sā hai
qissa-e-gham suna hua sa hai
ye fasana raTa hua sa hai
shahr mein ho rahi hai sham ki ab
koi tufan ruka hua sa hai
jis bhi manzar mein wo nazar aaen
dil wahin par laga hua sa hai
kis ne ye rahzan nazar Dali
sara manzar luTa hua sa hai
mere zaKHmon ko chhune wale tera
koi naKHun baDha hua sa hai
jal raha hai badan ka har hissa
dil magar kuchh bujha hua sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.