qissa-e-KHwab hun hasil nahin koi mera
qissa-e-ḳhvāb huuñ hāsil nahīñ koī merā
aisā maqtūl ki qātil nahīñ koī merā
hai bapā mujh meñ 'ajab ma.arka-e-sūd-o-ziyāñ
is laḌā.ī meñ muqābil nahīñ koī merā
bahtā jaatā huuñ maiñ gumnām jazīroñ kī taraf
vo samundar huuñ ki sāhil nahīñ koī merā
hai 'ajab baat ki dushman kā taraf-dār bhī hai
aisā lagtā hai ki ye dil nahīñ koī merā
roz detā hai mire sāmne auroñ kī misāl
aur kahtā hai mumāsil nahīñ koī merā
qissa-e-KHwab hun hasil nahin koi mera
aisa maqtul ki qatil nahin koi mera
hai bapa mujh mein 'ajab marka-e-sud-o-ziyan
is laDai mein muqabil nahin koi mera
bahta jata hun main gumnam jaziron ki taraf
wo samundar hun ki sahil nahin koi mera
hai 'ajab baat ki dushman ka taraf-dar bhi hai
aisa lagta hai ki ye dil nahin koi mera
roz deta hai mere samne auron ki misal
aur kahta hai mumasil nahin koi mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.